अगर शुरू से शुरू करूँ

— ek adhoora sawaal, ek poori umeed

Agar shuru se shuru karu,

Toh iss baar mohabbat ho jaegi kya?

♡ ♡ ♡

Tumhari pasandeeda gaane sunau

Toh tum meri ho paogi kya?

Ek shaam chai par tumhe bulau,

Toh gulabo se bada guldasta le aaogi kya?

Laal chudiyan dekar tumhe manau,

Toh tum unhe pehenkar itaraogi kya?

Kuch baat kehna hai tumse,

Toh thodi der ruk jaaogi kya?

Agar shuru se shuru karu,

Mujhe apni aadat bana paaogi kya?

♡ ♡ ♡

Awaaz pasand hai tumhari,

Apne pasandida gaane suna paogi kya?

Ek roz dhalta suraj dekhna hai,

Char kadam mere saath chal paaogi kya?

Apni hi baaton mein uljha rehta hoon,

Kabhi unhe samjhkar suljha paogi kya?

Agar shuru se shuru karoon,

Toh tum ruk jaaogi kya?

♡ ♡ ♡

Aadat nahi mujhe kisi ke saath rehne ki,

Tum buri aadatein badal paogi kya?

Gusse mein kabhi tumhe chale jaane ko boloon

Toh tum chhod kar jaaogi kya?

Ruth jaata hoon choti baaton par,

Tum har baar mana paogi kya?

Agar tumhare saamne rone lagoon

Toh jin baaton ka mujhe darr hai, unhe yaad rakh paogi kya?

Hamesha baatein kehte kehte ruk jaata hoon,

Tum bina kahi baatein sunn paogi kya?

Agar shuru se shuru karoon,

Toh mujhe kahaaniyon waala pyaar kar paogi kya?

♡ ♡ ♡

Mujhe ruthana hai tumse...

Tum manaane aaogi kya?

Main bhaagna chahta hoon khud se...

Mujhe dhuundhaane aaogi kya?

Kuch suljha raha hoon main...

Thoda intezaar kar paogi kya?

Agar sambhal na pau khud ko main...

Toh mera saath nibha dogi kya?

Chalo maano shuru se shuru kar liya,

Tab bhi humari adhuri kahaani poori kar paogi kya?

Ghaav jo dil pe yun lage hain,

Tum marham lagaake unhe bhar paogi kya?

Agar main paas aaoon tumhare,

Humaare daraare mita paogi kya?

Himmat karke apna tuta dil tumhare saamne rakhoon,

Toh firse ishq karke, mera dil jod paogi kya?

Iss baar ki mulaaqaat ek nayi shuruaat hogi,

Phir ek baar mujhe alvida keh dogi kya?

— P.K.
Wapas Blog par